BEST OF MIRZA GALIB

Ye jo hum hijr mein divar-o-dar ko dekhte hain kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain wo aaye ghar mein hamare khuda ke kudarat hai kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain nazar lage na kaheen usake dast-o-bazu ko ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain tere javahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen hum auj-e-tala-e-lal-o-guhar ko dekhte hain
Shikave ke naam se bemehar khafa hota hai ye bhi mat kah ke jo kahiye to gila hota hai pur hun main shikave se yun rag se jaise baja ik zara chediye phir dekhiye kya hota hai go samajhata nahi par husn-talafi dekho shikava-e-jaur se sar-garm-e-jafa hota hai ishq ke reh mein hai charkh-e-makaukab ke wo chal sust-rau jaise koi aabalapa hota hai q na thaharen hadaf-e-navak-e-bedad ke hum aap utha late hain gar tir khata hota hai khub tha, pahale se hote jo hum apne bad-khvah ke bhala chahate han aur bura hota hai nala jata tha pare arsh se mera aur ab lab tak aata hai, jo aisa hi rasa hota hai
0 comments:
Post a Comment